Download free mp3 song rehne do choro bhi






















Teen rishte be-naqaab hojate hai. Budhape mein aulaad, musibat mein dost aur ghurbat me biwi Lambi dosti ke liye 2 cheezo par amal karo, ek kabhi apne dost se guuse me bat mat karo dusri apne dost ki gusse me kahi bato ko dil se mat lo. Duniya me badiya insaan wo hai jiske liye koi roye or bekar insaan wo hai jiski wajah se koi roye.

Koi tumse bhalai ki ummed kare to use nirash mat karo, kyuki logo ki zaroorato ka tumse wasta hona allah ki inayat hai. Hum kisi ke liye tabhi tak special hai, Jab tak unhe koi dusra nahi mil jata. Kisi ka dil mat dukhao, ho sakta hai wo tumhe aese chahata ho jaise marne wala Zindagi? Insaan bhi kya cheez hai paise kamane ke liye apni sehat kho deta hai or fir apni sehat ke liye sari daulat loota deta hai.

Ye mat socho ki allah humari dua faurn kabool kyu nahi karta, Balki ye socho ki wo humare gunaho ki saza fauran nahi deta. Insaan ki achhi niyyat par use wo inaam milta hai jo use uske achhe kaamo par bhi nahi milta.

Pareshani khamosh hone se kam, sabr karne se khatam aur shukr karne se khushi me badal jati hai. Daulat milne par log badalte nahi balki wo Be — naqaab hote hai. Kabhi bhi apne jism or daulat ki taqqat par ghumaan mat karna, kyuki beemari or gareebi aane me der nahi lagti. Insaan gunah karne se bura nahi banta balki gunah par adde rahne se or apne zurm se mukarne ki wajaha se bura banta hai. Nafrat gunaho se karo gunah karne walo se nahi, shayad wo tumhari mohabbat me aa kar gunah karna chod de.

Logo ki kamyabi dekh kar usne jalne se achha hai ki aap bhi unke jaisa ya unse behtar karne ki soche. Agar kisi ko guroor ho ki wo tumse jitni bar bhi roothoge, tum use mana loge to behtar hoga ki tum uska ye guroor tootne na do. Jo tumhe khushi me yaad aaye, Samajho tum usse mohhabbat karte ho aur jo tumhe gham me yaad aaye, Samajh lo wo tumse mohhabbat karta hai.

Mushkeele humesha kabil logo ke raste me aati hai. Jo shakhs humesha tumhara bhala chahata hai, Uska udaas hona tumhare liye fikr ki bat hai. Agar tum mushibat me ho to ye mat socho ki ab kounsa dost kaam aayega, balki ye socho ki ab tumhe kounsa dost chod ke jayega. Insaan ke aanshu tab zayyeez hote hai jab wo kisi or ki taqleef mehsoos karke nikle ho, khud ki nahi. Jab insaan naarazgi khatm karne ki pahal karta hai to uska ye matlab nahi ki wo galat hai, Balki iska matlab use apni aan se jyada tum se rishta Aziz hai.

Agar insaan ko ye pata chal jaye ki jab wo apne rab ke samne sir jhukata hai to us par rahm ki kitni barsaat hoti hai to wo sajde se sir uthana nahi chahega. Mujhe wo dost pasand hai jo mahfeel me meri mujhe galtiyo se bachaye or akele me mujhe bajaye.

Dost ki koi bat buri lage to khamosh ho jao, Agar wo sach me tumhara dost hai to use iska dukh hoga or agar nahi hota hai to samajh lo wo tumhara dost nahi hai.

Jhooth bolne wale aadmi ki sabse badi saza ye hai ki uske sach ka bhi koi aitbar nahi karta. Kisi ko paane ke tamanna karke uske pichhe mat bhago, balki uske kabeel ban jao wo khud tumhare pichhe aayega.

Tumhara imaan jaanat se bhi keemati hai, Ise do pal ke sukh ke liye duniya me neelam mat karna. Insaan ki sachahi uski zuban ke niche hoti hai, Agar kisi shakhs ko janna hai to use gusse ki halat me dekho.

Duniya me kabhi kisi achhe insaan ki talash mat karo balki khud achhe ban jao, Ho sakta hai tumhare aesa karne se kisi or ki talash puri ho jaye. Jis tarah shabnam ke katre murjhaye phoolo ko tajgi dete hai, Usi tarah achhe lafz logo ke dil ko sadgi dete hai. Jindagi sirf 2 din ki hoti hai ek din tumhare haq me or ek din tumhare kheelaf.

Jis din tumhare haq me ho us din guroor mat karna or jis din tumhare kheelaf ho us din sabra karna. Sabr do tarah ka hota hai ek jo napasand ho use bardast karna or dusra jo pasand ho uska intjaar karna. Jindagi jarurato ke hisab se jiyo khwahisho ke nahi, Kyuki zarurate to faqeero ki bhi puri ho jati hai or khwahish baadshaho ki bhi adhuri rah jati hai. Log pyar ke liye hote hai or cheeze istemal ke liye, bat us waqt bigad jati hai jab cheezo se pyar kiya jaye or logo ka istemal.

Na insaan apni marzi se paida hua or na apni marzi se marega, fir kyu wo iske bich ka waqt apni marzi se gujarna chahata hai. Achhe logo ki ek sabse achhi pahchan hai ki un yaad rakhna nahi padta wo khud yaad rah jate hai. Rizq ke pichhe kabhi apna imaan mat becho kyuki rizq insaan ka pichha is tarah karta hai jaise uski mout. Lakho dost banane se achha hai koi aesa dost banao jo lakho dushman hone par tumhara sath de. Aitbaar aur pyar do aese parindey hai.

Agar inme se koi ek urdd jaye to dusra khud hi udd jata hai. Jis shaks me wafadari na ho uske sath dosti karne ka matlab khud ko zaleel karna hai. Tum acchha karo aur zamana tumhe bura samjhe, yeh tumhare haq me behtar hai bajaye iske ki tum bura karo aur zamana tumhe accha samjhe. Tum gulab ka phool ban jao, Kyuki ye uske hatho me bhi mahak chod deta hai jo ise massal kr feq deta hai. Apni kismat par wo rota hai jo allah ko nahi manta, kyuki allah ko manne wale ki ummed kabhi khatm nahi hoti.

Bura dost aag k itarah hai, agar jalta hai to aapko jala dega or agar bujha bhi ha ito aapke hath kale kar dega. Har kisi ko itni ehmiyat do jitni wo tumko deta hai. Agar kam doge ghamandi kahlaoge aur agar zyada doge khud gir jaoge. Yaad rakho ki is duniya se tumhara wajood hai, tumse is duniya ka nahi, kyuki kasti jab tak paani me rahti hai wo terti hai, paani kasti me aate hi wo doob jati hai.

Jab bhi tumhe lage ki tumhari pareshani duniya se badi hai to apne maa ke aanchal me chale jao, Suna hai maa ka aanchal is duniya se bhi bada hota hai. Agar tum kabhi kisi ki help karo to kabhi kisi se uske bare me baat mat karo.

Sabse bada gunah wo hota hai jo karne wale ki nazar me chhota ho. Jo zara si baat par dosti todne ki dhamki de, samajh lo wo kabhi tumhara dost tha hi nahi. Jab tum kisi se mohabbat karo to usse jara si mohabbat na mango, kyuki tumse usse mohabbat ki ha itijarat nahi. Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho to tum use door se dekh rahe ho, or dur se sab cheeze choti najar aati hai, asaliyat ka pata to samne se hota hai. Aapko kabhi koi dukh nahi de sakta, agar aap logo se ummede karna band kar do.

Kisi ki madad karte waqt uske chehre ki or mat dekho, ho sakta hai uske chehre ki sharmindagi tumhare dil me guroori ka biz bo de. Azmaye huye ko bar bar ajmana sabse badi bewkoofi hai. Apni zubaan ko kaboo me rakhne wala humesha fayde me rahta hai. Agar tumhare dil me kisi ke liye chahat paida ho jaye to samajho wo tumhe pasand karta hai. Us shaks par zulm karne se bachha karo, Jiska is duniya me tumhare siwa koi na ho.

Sabse behtar wo shaks hai, Jo un lgo se achha shalooq kare jinse kuch behtar hone ki ummid na ho. Teen kaam logo ke dil me aapki izzat badhate hai. Sabse salaam karna 2. Jo shaks tumhari nigaaho se tumhari zarurato ko nahi samajh sakta, Usse kuch bhi mang kar khud ko sharmeenda mat karo. Jab tum kisi insaan ki tabiyaat parakhna chaho to usse kisi bare me uski salah lo, Yakinn uski advice me aap uski imaandari, neki, sachhai, insaaf, zulm sabkuch jan jaoge.

Jab koi khuda se kisi ke sukh ke liye dua karta hai to to wo dua kisi or ke haq se pahle uske haq me kabool ho jati hai. Jab dua or koshisho se bat na bane to faisla khuda par chod do, Wo apne bande ke liye humesha sahi faisla karega. Sazza dene me der karo, jab tak ki tumhara gussa thanda na ho jaye. Duniya me sabse badi neki band mutthi se khairat karna hai. Agar tum mout ki raftar dekh lete to tum kabhi koi ummid na karte or inko pura karne me lage nahi rahte. Agar kabhi koi tumhare sath bura kare to tum uske sath achha kar ke us par ehsaan kar do.

Jab tumhara dil bure kaamo se khush rahne lage to ye is bat ka gawah hai ki tumhara rab tum se naraz hai. Kabhi koi gunah laannat ke liye mat karo kyuki lazzat ek din khatm ho jayegi or gunah baqi rah jayega. Insaan sabse bura kab banta hai, jab wo khud ko dusro se achha samajhne lage.

Daulat mitti ki tarah hai or mitti pao ke niche achhi lagti hai. Galat bat par gussa aa jana sharafat ki nishani hai par ussi gusse ko pee jana imaandari ki pahchan hai. Agar aap khud ke raaz khud chipa nahi pate to dusro se iski ummeed bhi mat karna.

Jis ne kisi ko pane raaz bta diye to samajho wo uska mohtaz ho gaya. Jo dukh do, use chod do par jise chod do use kabhi dukh mat dena. Kabhi bhi deemag me kamyabi or dil me nakamyabi ko jagah mat do.

Sirf 2 hi log khushnaseeb hote hai. Dua mangte raho, kyuki mumkeen or namumkeen to sirf humari soch me hai. Khuda ke liye kuch bhi namumkeen nahi hota. Duniya ki char cheeze aesi hoti hai jo kisi se bardast nahi hoti. Beti, mehmaan, baarish or beemari. Insaan ko pareshani sirf do wajah se hoti hai. Taqdeer se jyada chahata hai or waqt se pahle chahata hai.

Apni soch achhi rakho har ek ke bare me, kyuki tum jise jis nazar de dekhoge wo tumhe wesa hi nazar aayega. Jis ghar me har orz khuda ki ibadat hoti hai. Wo ghar aasmano walo ke liye aese chamakta hai jaise zameen walo ke liye sitaare. Agar koi tumhe bura kahe or tumhe gussa aa jaye to samajh lo ki tum wakayi bure ho.

Kisi ko apni safai bayan mat karo, kyunki jo shakhs tumko pasand karta hai usko safai ki zarurat nahi aur jo tum se nafrat karta hai wo kabhi tum pe yaqeen nahi karega. Kisi ki kamiya talash karne walo ki mesaal us makkhi jaisi hai, Jo insaan ke sare khoobsurat jism ko chod kar sirf jakhmo par hi baithti hai. Bura aadmi kisi le liye apne dil me izzat nahi rkahta, kyuki wo har kisi ko apne jaisa samajhta hai.

Guroor or jabardasti se tum sirf logo par raaz kar sakte ho logo ke dilo par nahi. Daulatmand hone par insaan apne aapko bhool jata hai or daulat na hone par log use bhool jate hai. Aapka achhe logo ke sath achhe se pesh aana koi khubi nahi, balki bure logo ke sath apaka achhe se pesh aana kamal hai. Agar tum use na paa sako jise tum chahte ho to tum use kabool kar lena jo tumhe chahata hai. Kyuki chahne se jyada chane wale ka sath achha hota hai.

Insaan ka nuqsaan jaan or maal ka chala jana nahi hota hai, Uska nuqsaan tab hota hai jab wo kisi ki nazro me geer jata hain. Sirf jarurat ke liye allah ko pukarne wale dono surato me use chod dete hai. Paisa mout tak sath deta hai, apne kabra tak sath dete hai or humare achhe karm humara humesha sath dete hai. Mout ke khauf se haq ki bat kahne se mat daro, Kyuki na hi to koi mout ko apake kareeb kar sakta hai or na hi koi aapse rizq ko door kar sakta hai.

Humse jo bhi pyar karta hai ek din hum use ajmante jarur hai. Par duniya me ek aesa pyar hai jise azmane ke bare me koi sochta bhi nahi, wo hai MAA ka pyar. Agar tumse koi puchhe ki jindagi kyaa hai to apni hathely par khaq rakhna or fook mar kar urdha dena. Walide, Hushn or Jawani. Teen cheezein soch samajh kar uthao, Qadam, Qasam or Qalam.

Teen kaam soch samajh kar karo, Mohabbat, Baat or Faisla. Teen cheeze kisi ka intjaar nahi karti, Mout, Waqt or Umar. Teen cheezo ko kabhi chota mat samajho, Farz, Marz or Qarz. Agar koi tumhari burayi kare to use dekh kar bhi jawab mat do, Tumhari khamoshi uske liye bahut bada jawab hogi. Agar dua mango to apni dua ki kabiliyat par yakeen karo, kyuki khuda ghafil or laparwah logo ki dua kabool nahi karta.

Apne sukh logo ke sath banta karo or apne dukho ke bare me kisi ko btaya mat karo. Mehanat itni khamoshi se karo ki aapki safalta logo me khalbali macha de. Aapka gareeb paida hona aapka kasoor nahi hai par aapko gareeb manra apaki sabse badi galti hai.

Kabyaab hone ke liye aapko akele hi chalna hoga, kyuki log to piche tab aate hai jab aap safal hone lagte hai. Hatho ki lakeero par yaqeen karna chod do, kyuki jab insaan badal sakte hai to hatho ki lakeer kyu nahi.

Agar kisi kaam me har ki koi ummeed na ho to us kaam me jit hasil karna bhi koi mayne nahi rakhta. Aap apna future nahi badal sakte par aap apni habit badal sakte hai or ye sach hai ki aapki aadate aapka naseeb badal sakti hai. Ek sapne ke toot kar chaknachoor hone ke bad dusre sapne ko asali jindagi kahte hai. Wo sapne sach nahi hote jinke liye aap bar bar sote hai, sapne wo sach hote hai jinke liye aap sona chod dete hai.

Safalta ka diya aapki kathin mehanat ke paseene se jalta hai. Jinke iraade buland ho wo sadako ki nahi, aasmano ki baat karte hai. Sach bolne wala pareshan jarur ho sakta hai par kisi se har nahi sakta.

Agar aap me koi kaam shuru karne ki himmat hai to aap me usme safal hone ki himmat jarur hogi. Sachhai wo diya hai jise beshaq kisi pahad ki choti par rakh do. Wo bhale hi roshni kam kare par dikhayi bahut door se bhi deta hai. Dukho me aap akele hote ho or sukho me ye duniya aapke sath hoti hai, Yaad rakho jis jis par duniya hasi hai us su ne itihas rachha hai. Kamyab log apne faisle se duniya badal dete hai or nakamyab log duniya ke dar se apne faisle badal lete hai.

Taqdeer or dusre logo ko dosh kya dena, Jab sapne humare hai to koshishe bhi humari thi. Agar aap sikhna hi chahate ho to apni galtiyo se sikho, Aapki har bhool kuch kuch sikha degi. Jhoothi shaan ke parindte hi jyada fadfadate hai. Tarkki ke baaz ki udaan me kabhi aawaz nahi hoti. Samsya ka samna karo, usse door mat bhago, tabhi use suljha sakte ho. Sahanshilta, sundarta or saralta, inki talash aap chahe sari duniya me kar lo, agar ye apake andar nahi to duniya me kahi nahi milengi.

Kisi se irshya ya kisi ki hordh mat karo, Sirf apni manzil tak pahuchane wale raste par chalte ho, Ab ye aap par depend karta hai ki apaki chalane ki raftar kitni hai. Agar aap ko lage ki aap akele kya kar sakte ho to sir utha kar us suraj ko dekh lena jo sari duniya me roshni karta hai.

Lagatar mil rahi nakamyabiyo se har kar kabhi nirash mat hona, kyuki kabhi kabhi ghuchhe ki aakhri chabi bhi tala khol deti hai. Jaldi milne wali cheeze jyada samay tak nahi chalti or jo jyada der tak chalti hai wo cheeze jaldi nahi milti. Inshan tab samajhdar nahi hota jab wo badi badi bate karne lage, balki wo tab samajhdar hota hai, jab wo chhoti chhoti bato ko samjhne lage.

Jo ek pyari si muskan de kar dheere se humare kaan me kahti hai. Bas use karne ke liye himmat or hausla chahiye. Jo har kisi ke pas nahi hota.

Waqt aapka hai, ise chahe to sona bana do ya fir sone me guzar do. Duniya aapke karmo se badalegi aapke mashware se nahi. Agar aap duniya ko badalna chahate ho to abhi se khud ko badalna shuru kar do.

Jab aap pure badal paoge tab tak ye duniya badal chuki hogi. Safal vyakti dusre logo ko safal dekhna chahata hai or asafal vyakti humesha dusro ko asafal dekh kar khush hota hai. Ghardi sudharne wale bahut mil jate hai par time koi nahi sudhar ke deta wo aapko khud hi sudhanra padta hai. Duniya me sab cheeze aasani se mil jati hai par humari galtiya nahi. Krodh or aandhi dono ek jaise hote hai. Dono ke shant hone par pata chalta hai ki kitna nuksaan hua hai. Gareebi or samrddhi, dono humare deemag ke vicharo ka parinam hai.

Humari pasand ka har work hum badi aasani se kar lete hai, Sochne ki baat hai dusre kaamo me aesa kyu nahi hota. Jo uchhi udaan ke hausle bana lete hai wo kabhi aasman ki duri ke bare me nahi sochte. Apni kalpna ko apni jindagi ka margdarshak banaye apne atit ko nahi. Time west mat karo ki kya karna hai warna aapse pahle time soch lega ki aapka kya karna hai.

Agar tum us waqt muskura sakte ho jab tum buri tarah toot chuke ho to mera yaeen kar lo duniya me kabhi koi tumhe tord nahi sakta. Imarat ki chat par jane ke liye sidhiya chardni padti hai. Unhe ginna bhar bahut nahi hota. Hume jindagi me bhale hi kitni bar harna pade par jindagi se kabhi nahi harna chahiye. Sirdhiya unhe mubarak ho jinhe chat tak jana hai.

Mujhe to aasman tak jana hai to rasta khud banana hai. Manzil ke lambe rasto se darne walo, suno hazaro meel ke safar ki shrurat bhi ek chote se kadam se hoti hai. Agar tumhare liye duniya ke sare raste band ho jaye to aankhe band karke sochna, Ek rasta baki hoga jise khuda banata hai. Himmat se har impossible work bhi possible ho jata hai.

Aapko apne kaam me jitni kathinayiya milegi us kaam ka fal bhi utna hi mittha hoga. Jo asambhab karya ko sambhav kar dikhaye, Use hi duniya mahaan kahti hai. Aane wale kal ko sudharne ke liye bite huye kal se shiksha lijiye or aaj par kaam kijiye. Agar koi aadmi aapse kah ki uske pas waqt nahi hai to asal me wo insaan nahi Helter Skelter hai. Aapka bhavishya usse banta hai jo aap aaj karte hai, Usse nahi jo aap kal karne wale hai.

Jo apne liye jita hai wo kide makordo k itarah mar jata hai, or jo dusro ke liye jeeta hai wo humesha logo ke dilo me yaad rahta hai. Chahe bar nakamyabi mile, kathin mehanat or sachhi lagan se kaam karoge to ek din safalta jarur milegi. Khud ki tarakki me itna waqt laga do ki dusro ki burai karne ka waqt hi na mile.

Pargati badlav ke bina asambhav hai or jo apni soch nahi badal sakte wo jindagi me kabhi kuch nahi kar sakte. Khushi ke liye kaam karoge to khushi nahi milegi or khushi se kaam karoge to khushi or safalta dono milegi.

Parajay tab nahi hoti jab aap geer jate hai, parajay tab hoti hai jab aap uthne se inkar kar dete hai. Agar bharosha kismat par karoge to jo likha hai wohi paoge or agar khud par bharosha karoge to khuda aapki kismat me wohi likhega jo aap chahoge. Koshish karne ki himmat nahi hona, Ek nazar se yahi aapki sabse badi vifalta hai. Atit ke gulam nahi balki future ke nirmata creator bano.

Safalta humara janam-sirddh haq hai or ise pane kel iye hi humara janm hua hai. Safalta to apake dwara soche gaye vicharo ka aakhri natiza hai. Adhuri jankari darka reason hai, Enough jankari nirbhayta ka saboot hai. Humesha lakshay Goal ko nazar me rakhne wale log success hote hai.

Kyuki unhe pata hota hai kaha jana hai. Good result dekhna chahate ho to abhi se good feel karna shuru kar do. Sapne dekhne or unhe pura karne me kabhi umar bich me naih aati, Aap jab chaho kaam start kar sakte ho. Jamana jab bhi mujhe mushkil me daal deta hai, Mera rab hazaro raste nikaal deta hai. Aapko bar bar vifalta failure mile to nirash mat hona, kyuki Great Scientific Edison success hone se pahle 10, bar fail hue the. Aapki asafaltao me hi aapki safalta ke beez hote hai, bas unhe choonne ki jarurat hai.

Sasyao se mat daro wo aapko todne nahi balki or jyada majboot banane ke liye aati hai. Agar aap har se sikhna shuru kar do to koi bhi har aapka nuksaan nahi kar sakti. Bhagye Luck ke bharoshe baithne wale aalsi log humesha har ko gale lagate hai.

Aapki asafalta se ye sabit ho jata hai ki apane safalta ke liye puri lagan se mehanat nahi ki. Bina tay manzil fixed fllor ke anjaan raho par bhatkano bekar or samay ki barbadi hai. Challenges ko challenge karna shuru kar do, Wo bhi aapko darana band kar degi. Paseene ki syahi se likhte hai jo apne iraado ko, unke Muqqdar ke panne kabhi kore nahi hua karte.

Ye jivan sirf day night katne ke liye nahi, balki koi mahan kaam karne ke liye hai. Agar aap fail hote ha ito aap sirf nirash hi honge, Lekin agar aap koshish hi nahi karoge to aap gunahgar bhi honge.

Small change yani chhote chhote pariwartan hi bade badlav ki nishani hai. Kyo dare jindagi me kya hoga? Har waqt kyu soche ki bura hoga? Bardhte rahe manzeelo ki or hum, Kuch bhi nahi mile to kya, tazurba to naya hoga. Safalta humesha saahas se kaam karne walo ke pass jati hai kayaro or bujdilo ke pas nahi.

Jindagi me do log har bar har jate hai, 1. Jo sirf soche hai par kuch karte nahi. Jo kaam karte hai par kuch sochte nahi. Heere ko parkhna hai to andhere ka intjaar karo, Kyuki dhoop me to bekar kaanch ke tookrde bhi chamakne lagte hai.

Dharti par sabhi jeeo me sirf insaan hi sabse jyada mehanat karta hai, Ajeeb bat ye hai ki sabhi ka time par pet bharta hai par insaan ko bhookha sona padta hai.

Jeeawan me mushibat aaye to kabhi ghabrana mat, Geer kar uthne wale ko bazigar kahte hai. Wishwas rakho or bhagwan se kabhi jyada mat mango, kyuki wo kabhi kam nahi deta. Saare sabak kitabo me nahi milte yaaro, kuch sabak jindagi bhi sikhati hai. Shandar jindagi jine ke keval do hi tarike hai. Jo pasand hai use hasil karo or 2.

Jo hansil hai use pasand karo. Jindagi khushiya batorte batorte jane kab guzar gayi, Ab pata chala ki khush to wo log the jo khushiya bant rahe the. Meri safalta dekh kar aksar hairan hote hai bahut log, Magar kisi ne aaj tak mere pao ke chale nahi dekhe. Jo tumne kho diya us ke bare me sochna nahi or tumhare pas hai use kabhi khona nahi. Manzil kitni bhi door hai par kabhi ghabrana mat aye dosto, Kyuki nadi kabhi nahi puchhti ki abhi samundar kitni door hai.

Teacer or life me bas thoda sa fark hai. Teacher sabak sikha kar imtihaan leta hai or life imtihan le kar sabak sikhati hai. Kuch log thokkar khane ke bad bikhar jate hai or kuch log thokkar kha kar itihas banate hai. Jab aap kisi ka apman kar rahe hote hai to wastav me aap apna samman kho rahe hote hai.

Jivan me girna bhi achha hai apni okat ka pata chalta hai, badhate hai jab uthne ko hath to apno ka pata chalta hai. Kismat bhi nidar logo ka hi sath deti hai. Jindagi hume humesha dusra mouka deti hai, Jise hum kal kahte hai. Intjaar mat karo, Jitna tum sochte ho jindagi usse kahi jyada tezi se nikal rah hai. Jivan bahut aasan hai par hum jabardasti ise kathin bana lete hai. Jindagi risk se bhari huyi hai. Humesha khush rahe or haste rahe, Mehsooss kare ki aap kitne saubhagyashali hai.

Har insaan ke jivan jeene ka apna dhang or karan hota hai. Sabhi insaano ko ek hi tarazu me nahi tola ja sakta. Tumhara jivan ek khali canvas ki tarah hai, Ise rango se bhar do. Madhur boli kewal sunne me hi achhi nahi lagti balki ye ek sukhi jiwan ka nirman karti hai. Jindagi only problems solve karne ke liye hi nahi hai, Balki unse sikhne ko bhi jindagi kahte hai. Main khush hu kyuki main apne dukho ko pahachanta hu. Tumhare pas time bahut kam hai jindagi jeene ke liye, Dusro ki burayi karne me ise barbad mat karo.

Humare pas jo nahi hai wo nahi lekin humare pas jo ha iwo jyada mayyne rakhta hai. Agar aap bachpan me sharate or jawani me acche kaam nahi karte ho to budhape me kuch soch kar hasne or khush hone ke liye kuch nahi bachega. Tumhara jeevan lgo ke liye ek message hai, Ise parenadayi banao. Kisi par kabhi bahut jyada depend mat raho, Kyuki andhere me parchayi bhi sath chod deti hai.

Achha samay achhi yaade lata ha ior bura samay achhi sikh. Aapne aap se pyar karo, duniya khud aapse pyar karne lagegi. Samay ke sath pariwartan hota hai, Badlav par wishwas karo, ek jagah datte rakhna bekar hota hai. Jindagi bahut chhoti or anmol hai ,Ise dukhi rah kar barbad mat karo. Agar aap jindagi ka maja lena chahate ho to khush rahna shuru kar do. Click button below and download or listen to the song Vilenekraat on the next page.

Mujhe Na Bula. Dilbar Dil Se Pyare. Jana Tha Humse Door. Loote Koi Man Ka Nagar. Listen download kanave kanave song from david Mp3 Songs Free Online. Sung by Anirudh Ravichander under his own music direction. Thank you for downloading the song bhai bikramjit singh japji sahib download mp3. Composer mm kreem singer mm.

Listen to good music, download high speed mp3s for free. Music Composed by Himesh Reshammiya an.. Listen and download mp3 songs kehne ko humsafar hai serial song download, shown by the best singers, in the category of high quality Latest Songs, Download mp3 on this site the fastest way. That also helps you in Hindi songwriting. These Bollywood songs were arranged in Hindi alphabetical order so that you could easily find a song of your choice Bina singaar kitna chehre pe noor hai..

Posted on March 2, by admin. Bolo Na Tujhe dekha to tujhpe lutaya hai dil kya karu Tere hathon mein hai chahe to tu dil tod de haan bol de Oh yaa Jo aaya main teri gali mein tum aaogi kya Mere bare mein bataogi kya yeh soch le.

Oh na na Dil ki raaho pe chalna to aasan nahi hai Oh na na Jo tu sath mere to sab kuch sahi hai. Hindi Songs sung by Mohammed Rafi with music video.

Latest Hindi Songs lyrics with music video categorized by music director, lyricist, composer, singer and release year.. Bhora na kadar paaye heere jatt di Jina tere pyaar utte krde c maan, Oni dunghi dil utte maari satt ni Par jatt nu v jaani na malang, Tere piche jhandi hor gadh ti Sach jani aa gya swaad sanu tetho sohni hor labh gaye Teri nai o aundi bhora yaad sanu tetho sohni hor labh gaye..

Dil Nashe Mein Choor Hai. Dil Se Kabhi Na Jaana. Hamari Dhadkan. Raat Katati Nahin. Tumse Nazrein Milin. Kajra Remix by DJ Aqeel. Bunty Aur Babli - Kajra Re. Veer Zaara - Tere Liye. Veer Zaara - Main Yahan Hoon.



0コメント

  • 1000 / 1000